Friday 20 December 2013

Nehru Place Shayari Competition


Aye kalam zara sambhal ke chal,
Yeh bade adaab ka mukaam hai,
Tujhe malum nahin teri nok ke,
niche mere mehboob ka naam hai.

Nehru Place Shayari Festival





Zakhm dene ka andaz kuch aisa hai,
zakhm dekar puchte hai ab hal kaisa hai,
Kisi ek se gila kya karna yaro,
sari dunia ka mizaz ek jaisa hai.

Dard Shayari - 008

Unki galiyoon se jab gujre to manjar ajeeb tha,
dard tha magar wo dil ke kareeb tha,
jise hum dhoondhte the apni hathoon ki lakeeroon mein,
wo kisi doosre ki kismat, kisi aur ka naseeb tha.

Dard Shayari - 007

Woh kahin bhi rahen sar pe uske ilzaam to hai,
uske hathon ki lakiron me mera naam to hai,
wo mujhe apna banaye ya na banaye,
zamane mein mere naam se woh badnam to hai.

Dard Shayari - 006


Tumne chaha hi nahi halat badal bhi sakte the,
tere aansoo meri aankho se nikal bhi sakte the,
tum there rahe jheel ke paani ki tarha,
darya bante tho bahut door nikal bhi sakte the.

Hindi Shayari - 005


Kitna bebas hai insaan kismat ke aage,
kitne door hai khwaab hakikat ke aage,
koi ruki hui si dhadkan se puche,
kitna tadapta hai yeh dil mohabbat ke aage...

Hindi Shayari - 004


Main duba to kinaare pe khadi thi duniya,
hasnewalon mein mera muqaddar bhi shaamil tha,
ro raha tha jo janaaje se lipat kar mere,
kaise keh du ki wohi mera qatil tha...

Aarzoo Shayari - 003


Aarzoo hai door se dekhne ki,
kareeb aana bhi nahi chahte,
tamanna nahi hai aapko paane ki,
magar khona bhi nahi chaahthe.

Zindagi Shayari - 002

Yeh zindagi bhi na jane kitne mod deti hai,
har mod par ek sawal deti hai,
dhundte rehte hain hum jawab zindagi bhar,
jawab miljaye to zindagi sawal badal deti hai...

Dard Shayari - 001


Mar-mar ke musafir ne basaya hai tujhe,
rukh sabse chupa ke muh dhikaya hai tujhe,
kyon tujhse lipat ke naa soun ae kabre,
zindagi de ke maine paya hai tujhe.